Maharishi Dayanand Saraswati
The Ten Principles Of A Noble Society |
- Sab Satyavidyaa Aur Jo Padartha Vidya Se Jaane Jaate Hai Un Sab Kaa Aadimool Parameshwar Hai
- Eshwar Sach-Chidaanand Swaroop, Niraakaar, Sarvashaktimaan, Nyaayakaari, Dayaaloo, Ajanmaa, Anant, Nirvikaar, Anaadi, Anupam, Sarvadhaar, Sarveshwar, Sarvavyaapak, Sarvaantaryaamee, Ajar, Amar, Abhaya, Nitya, Pavitra Aur Shristi Kartaa Hai Usee Kee Upaasanaa Karnee Yogya Hai
- Ved Sab Satyavidyaao Kaa Pustak Hai. Ved Kaa Pardhanaa- Pardhaanaa Aur Sunnaa-Sunaanaa Sab Aaryo Ka Param Dharm Hai
- Satya Ke Grahan Karne Aur Asatya Chhorne Sarvadaa Udyat Rahanaa Chaahiye.
- Sab Kaam Dharmanusaar Arthaat Satya Aur Asatya Ko Vichaar Karke Karne Chaahiye.
- Sansaar Kaa Upkaar Karnaa Esa Samaaj Kaa Mukhaya Udhesya Hai Athaart Shaareekrik, Aatmik Aur Saamaajik Unnati Karnaa.
- Sab Se Pritipoorvak Dharmanusaar Yathayogya Vartana Chaahiye
- Avidyaa Kaa Naash Aur Vidyaa Kee Vriddhi Karne Chaahiye
- Prayek Ko Apnee Hee Unnati Se Santusht Na Rahanaa Chaahiye Kintu Sab Kee Unnatee Me Apnee Unnati Samajhnee Chaahiye
- Sab Manushyo Ko Saamaajik Sarvahitakaaree Niyam Paalne Me Partantra Rahanaa Chaahiye Aur Pratyek Hitkaaree Niyam Paalne Me Sab Swantantra Rahe.